Hazrat ali ka shumaar ashre mubashera main hota hain
app hamare nabi k chacha zaad bhai or damaad hai
apka nam ali lakab haider jabke kuniyat abu alhasan or abutaraab hai.apki kuniyat abu tarab nabi pak nai farmaye the is zamaan main rivayaat mai ata hai k hazoor sarkare do alaam hazrat ali sai be haad muhabbat farmaya kartay the gazvaye ashriya k safaar k doran ik khajur k darakhat k niche hazrat ali meh khuwab the is registani sarzameen main apke jism e mubarak par matti lag gae hazoor kareem waha tashreef lae aur apko jagate huye farmaya aae abu tarab uth khara ho,phir apsay farmaya aae ali main tujhe batao k logo main subse ziada badbhakht kon hai?irshad farmaya do ashkaas ik wo shaks jisne hazrat salehe(ahle salam)ki uthne ki kunshe katti,or dusra wo shaks jo tere chehre or dari k ballo ko tere khoon main dubo dai.hazoor kareem yeh farmate jate the or apna daste mubarak hazrat ali k sar or chehre per pherte jate the.
apki kunyat abu tarab k bare main hazrat sehel bin saad(radi allah ho anha)sai rivayat hai farmate hai k hazrat ali ko apni kuniyat abu tarab bht pasand the or jab koi apko is nam sai pukarta tha to ap bht khush hotay the or apki is kuniyat ka sabab yeh tha k apki sayeda fatima(radi allah ho anha)sai kisi baat par naraz hoker masjid main aker lait gae or apke badan e pak par kuch matti lag gae hazoor kareem apko bulane khud masjid main tashreef lae apke badane mubarak sai matti jharte hue ap farmane lage k aae abu tarab utho chunacha usi din sai apki yeh kuniyat mashoor hogae.
Mola ali as aur bibi fatima pak kabhi bhi naraz nahi huta thay bibi pak na puri zindagi mola sa kuch bhi manga nahi ti naraz hona ti dur ki bat ha
ReplyDelete